Friday, October 12, 2012

Khawaish or Shart

Quite a premature poem... But still posting to maintain it in my database. :)

Ankhon ki is halchal ki vajah soch raha hun,
Honton ki gum sarsarahat ki danstan bun raha hun.
Chehre Ki haseen muskurahat ki ada chun raha hun,
Maang to jahan sakta hun khuda se, abhi chand lamhon ki khushi maang raha hun.

Ik din jahanpanah ne meri peer sun li,
Jo mangi vo khushi meri duniya mein bhar di.

Tujhe na maloom in chand lamhon me mene kya kya maang dala hai,
Tere har gam ko mene uske anchal mein dhakel dala hai.
Tere jahan me usne duniya bhar ka pyar samet dala hai,
Ab mere sapno ka sansar usne tere sapno se jod dala hai.

Har kadam usne meri awaj suni thi,
Lekin uske jawab mein ik shart rakhi thi.

Na socha tha mene, tu is tarah pesh aayegi,
Sab kuch milte hi teri fitrat yun badal jayegi.
Teri ankhon se viswas ki chamak yun ud jayegi,
Jindagi hokar maut si ho jayegi.

Is gadhi meri dhadkan mujhe daga de rahi thi,
Shart ke mutabik meri jaan mujhse chin rahi thi.

No comments:

Post a Comment